Selected Poems
bujh gayaa dil hayaat baaqii hai
bujh gayaa dil hayaat baaqii hai ; chhup gayaa chaand raat baaqii hai
hal-e-dil un se kah chuke sau baar ; ab bhii kahane kii baat baaqii hai
raat baaqii thii jab vo bichhade the ; kaT gaii umr raat baaqii hai
ishq main ham nibhaa chuke sab se ai 'Khumar'; bas ek zaalim hayaat baaqii hai
ai maut! unhe.n bhulaaye zamaane guzar gaye
ai maut! unhen bhulaaye zamaane guzar gaye ; aa jaa ki zahar khaaye zamaane guzar gaye
O jaane vaale aa ki tere intazaar men ; raste ko ghar banaaye zamaane guzar gaye
Gam hai na ab Khushii hai na ummiid hai na yaas ; sab se najaat paaye zamaane guzar gaye
kyaa laayaq-e-sitam bhii nahii ab main doston ; patthar bhii ghar men aaye zamaane guzar gaye
jaane bahaar phuul nahii aadamii huun main ; aa jaa ki muskuraaye zamaane guzar gaye
kyaa kyaa tavaqqo_at thii aahon se ai 'Khumar'; ye tiir bhii chalaaye zamaane guzar gaye
aisaa nahii ki un se mohabbat nahii rahii
aisaa nahii ki un se mohabbat nahii rahii ; jazbaat men vo pahalii sii shiddat nahii rahii
sar mein vo intazaar kaa saudaa nahii rahaa ; dil par vo dharkano kii hukuumat nahii rahii
paiham tavaaf-e-kuuchaa-e-jaanaa ke din gaye; pairon men chalane phirane kii taaqat nahii rahii
chehare kii jhurriyo ne bhayaanak banaa diyaa; aaiinaa dekhane kii bhii himmat nahii rahii
kam_zorii-e-nigaah ne sanjiidaa kar diya ; jalvo se chhed-chhaad kii aadat nahii rahii
allaah jaane maut kahaa mar gaii 'Khumar'; ab mujh ko zindagii kii zaruurat nahii rahii
Read more about this topic: Khumar Barabankvi
Famous quotes containing the words selected and/or poems:
“The best history is but like the art of Rembrandt; it casts a vivid light on certain selected causes, on those which were best and greatest; it leaves all the rest in shadow and unseen.”
—Walter Bagehot (18261877)
“No poems can please for long or live that are written by water-drinkers.”
—Horace [Quintus Horatius Flaccus] (658 B.C.)