Subh Sukh Chain - Roman Transliteration

Roman Transliteration

The text of the anthem is as follows -

--First stanza--
Subh sukh chain ki barkha barse,
Bharat bhaag hai jaaga.
Punjab, Sindh, Gujarat, Maratha,
Dravid, Utkal, Banga,
Chanchal sagar, Vindh, Himaalay,
Neela Jamuna, Ganga.
Tere nit gun gaayen,
Tujh se jivan paayen,
Har tan paaye asha.
Suraj ban kar jag par chamke,
Bharat naam subhaga,
Jai ho, jai ho, jai ho,
Jai, jai, jai, jai ho.
--Second stanza--
Sab ke dil mein preet basaaey,
Teri meethi baani.
Har sube ke rahne waale,
Har mazhab ke praani,
Sab bhed aur farak mita ke,
Sab god mein teri aake,
Goondhe prem ki mala.
Suraj ban kar jag par chamke,
Bharat naam subhaga,
Jai ho, jai ho, jai ho,
Jai, jai, jai, jai ho.
--Third stanza--
Subh savere pankh pakheru,
Tere hi gun gayen,
Baas bhari bharpur hawaaen,
Jeevan men rut laayen,
Sab mil kar Hind pukare,
Jai Azad Hind ke nare.
Pyaara desh hamara.
Suraj ban kar jag par chamke,
Bharat naam subhaga,
Jai ho, jai ho, jai ho,
Jai, jai, jai, jai ho.

Read more about this topic:  Subh Sukh Chain

Famous quotes containing the word roman:

    The gale, it plies the saplings double,
    It blows so hard, ‘twill soon be gone:
    To-day the Roman and his trouble
    Are ashes under Uricon.
    —A.E. (Alfred Edward)