Saare Jahan Se Achcha - Roman Transliteration

Roman Transliteration

sāre jahāñ se acchā hindostāñ hamārā
ham bulbuleñ haiñ us kī vuh gulsitāñ hamārā

ġhurbat meñ hoñ agar ham, rahtā hai dil vat̤an meñ
samjho vuhīñ hameñ bhī dil ho jahāñ hamārā

parbat vuh sab se ūñchā, hamsāyah āsmāñ kā
vuh santarī hamārā, vuh pāsbāñ hamārā

godī meñ kheltī haiñ us kī hazāroñ nadiyāñ
gulshan hai jin ke dam se rashk-e janāñ hamārā

ay āb-rūd-e gangā! vuh din haiñ yād tujh ko?
utarā tire kināre jab kāravāñ hamārā

mażhab nahīñ sikhātā āpas meñ bair rakhnā
hindī haiñ ham, vat̤an hai hindostāñ hamārā

yūnān-o-miṣr-o-rumā sab miṭ gaʾe jahāñ se
ab tak magar hai bāqī nām-o-nishāñ hamārā

kuchh bāt hai kih hastī miṭtī nahīñ hamārī
sadiyoñ rahā hai dushman daur-e zamāñ hamārā

iqbāl! koʾī maḥram apnā nahīñ jahāñ meñ
maʿlūm kyā kisī ko dard-e nihāñ hamārā!

Read more about this topic:  Saare Jahan Se Achcha

Famous quotes containing the word roman:

    Before the Roman came to Rye or out to Severn strode,
    The rolling English drunkard made the rolling English road.
    Gilbert Keith Chesterton (1874–1936)