Karbala Ta Karbala - Excerpts From Karbala Ta Karbala

Excerpts From Karbala Ta Karbala

Karbala Ta Karbala (collection of Elegies on martyrs of Karbala– Urdu) –1991- consists of eight marasi (plural of marsia)

1. Mariam se bhi siwa hai fazilat Batul ki: Chadar-e-Tatheer, Marsia on Hazrat Fatimah, has 168 bunds.

Opening bund:

Mariam se bhi siwa hai fazilat Batul ki
Bizat Rasool ki hai riyazat Batul ki
Ajr e payambari hai muwaddat Batul ki
Iman ka juz hai iffat o ismat Batul ki
Ayaat e nutq e Rab mein hai talmeeh e Fatima
Takmeel hai namaz ki tasbeeh e Fatima

2. Qale tameer kiye daste havaskari ne: Qala Kusha, Marsia on Hazrat Ali ibne Abi Talib—135 bunds in total.

Opening bund:

Qale tameer kiye daste havaskari ne
Sarhade aag ki khenchi hain sitamgari ne
Shahron ko bech diya tama ki nadari ne
Mulkon ko bata hai sarmaye ki ayyari ne
Khun pe bunyad rakhi aish ne darai ki
Zulm ne aansuon se anjuman aarai ki

3. Barsi nahi naghmon ki ghatayen kai din se: Shaheed-e-Atash, Marsia Hazrat Ali Asghar ibn al-Husain—107 bunds.

Opening bund:

Barsi nahi naghmon ki ghatayen kai din se
Sanki nahi madmati hawaen kai din se
Lab basta hain jeene ki duaen kai din se
Nakarda hain masoom khataen kai din se
Woh jas hai, awaaz ka dam toot raha hai
Har geet ka har saaz ka dam toot raha hai

4. Ai saqi e hayat o masiha e kainat: Alamdar-e-Amn, Marsia on Hazrat Abul Fazl al-Abbas, 134 bunds in total.

Opening bund:

Ai saqi e hayat o masiha e kainat
Ai mawara e kon o makan ruh e shish jehat
Ai khaliq e sifat o munazzah an assifat
Ai woh ke khud wajud bhi hai jis ka ain e zat
Har ramz o marifat ki hai ek sai e na tamaam
Hadde sana o hamd se bartar tera maqaam

5. Hai qafila e jara'at e raftar safar mein: Salaar-e-Qafila-e-Shauq, Saiyid al-Shohada Hazrat Imam Husain ibn Ali, 143 bunds.

Opening bund:

Hai qafila e jara'at e raftar safar mein
Manzil ka nishan bhi nahi is rah guzar mein
Ta hadde nazar reg e biyaban hai nazar mein
Saya hai na pani rah e purpech o khatar mein
Gardoon hai sharar bar, zameen aag ka darya
Phela hua hai door o qarin aag ka darya

6. Raat yeh haq ke chiraghon pe bahot bhari hai: Tegh-e-Zaban e Zainab, Marsia Hazrat Zainab bint Ali, 188 bunds in all.

Opening bund:

Raat yeh haq ke chiraghon pe bahot bhari hai
Sans lene mein bhi iman ko dushwari hai
Kashmakash marg o masihaee mein ab jari hai
Charagar aa bhi chuke, kooch ki tayyari hai
Nashe fatah mein batil hai ke ata hai Yazid
Masnad e adl pe haq apna jatata hai Yazid

7. Ya Rabmeri zuban ko qudrat bayan ki de: Shahadat-e-Nutq, marsia Ali Akbar ibn al-Husain, 192 bunds.

Opening bund:

Ya Rab meri zuban ko qudrat bayan ki de
Lub maslehat ke bund hain, jara'at bayan ki de
Hakim hai kizb, mujh ko sadaqat bayan ki de
Har Lafz jag uthe, woh karamat bayan ki de
Sahab-e suqan ko yad-e-bayza bhi kar ata
Di hai zuban to lub-e-Isa bhi kar ata

8. Karbala! ai Karbala! Ai Karbala! ai Karbala!: Karbala ai Karbala, marsia matlooban-e-shahadat (Zuhayr ibne Qayn, Habeeb ibne Mazahir, Hur ibne Yazid Riyahee and Musayyab khuzayee), 191 bunds.

Karbala! ai Karbala! Ai Karbala! ai Karbala!
Muntaha e baisat e kul anbiya, ai Karbala
Manzil-e-sad karwan-e-irteqa, ai Karbala
Qatlgah-o-madfan-e-nur-e-Khuda, ai Karbala
Reg-e-sahra ban gayi rashk-e-jinan kaise bata?
Mauj teri ban gayi mauj-e-zaman kaise bata?

Read more about this topic:  Karbala Ta Karbala